bahri pachhaane neen use gul ke so vo dam-saaz the | बहरी' पछाने नीं उसे गुल के सो वो दम-साज़ थे - Alimullah

bahri pachhaane neen use gul ke so vo dam-saaz the
chanchal chhabele chulbule maghroor saahib-naaz the

neen khoob dekhe tum use vo aashiqon ka takht tha
misl-e-sulaiman bar-hawaa dar-neem-shab parwaaz the

kya paarsa ka pairhan aur tujh gada ki goodadi
mil ke so apne paanv tal jismaaniyaan soon paaz the

taammul ke tum ko door se jo bhool gaye apna pisar
vo gosh-o-abroo kheench kar mizgaan teer-andaaz the

naadir aleemullah kaha ye sher bahri ka jawaab
ushshaq dilbar soon sada khud hamdam-o-hamraaz the

बहरी' पछाने नीं उसे गुल के सो वो दम-साज़ थे
चंचल छबीले चुलबुले मग़रूर साहब-नाज़ थे

नीं ख़ूब देखे तुम उसे वो आशिक़ों का तख़्त था
मिस्ल-ए-सुलैमाँ बर-हवा दर-नीम-शब पर्वाज़ थे

क्या पारसा का पैरहन और तुझ गदा की गूदड़ी
मिल के सो अपने पाँव तल जिस्मानियाँ सूँ पाज़ थे

तअम्मुल के तुम को दूर से जो भूल गए अपना पिसर
वो गोश-ओ-अबरू खींच कर मिज़्गान तीर-अंदाज़ थे

नादिर 'अलीमुल्लाह' कहा ये शेर 'बहरी' का जवाब
उश्शाक़ दिलबर सूँ सदा ख़ुद हमदम-ओ-हमराज़ थे

- Alimullah
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari