gar ishq hai to dekhne piw ko shitaab aa | गर इश्क़ है तो देखने पिव को शिताब आ - Alimullah

gar ishq hai to dekhne piw ko shitaab aa
la-shak ho haq ki rah mein chala be-hijaab aa

us husn-e-be-nazeer ke darsan ko dekhne
sab khaanumaan soon ho ke apas ke kharab aa

dariya mein dil ke ishq soon hone ke tai muheet
khaali ho sab khudi soon nikal jun habaab aa

kya dekhta hai soorat-e-khursheed aur chandra
har ik nazar mein dekh hazaar aftaab aa

har-dam aleem dil ke nazar ko diya hai taab
apne karam soon qibla-e-waala janab aa

गर इश्क़ है तो देखने पिव को शिताब आ
ला-शक हो हक़ की रह में चला बे-हिजाब आ

उस हुस्न-ए-बे-नज़ीर के दरसन को देखने
सब ख़ानुमाँ सूँ हो के अपस के ख़राब आ

दरिया में दिल के इश्क़ सूँ होने के तईं मुहीत
ख़ाली हो सब ख़ुदी सूँ निकल जूँ हबाब आ

क्या देखता है सूरत-ए-ख़ुर्शीद और चंद्र
हर इक नज़र में देख हज़ार आफ़्ताब आ

हर-दम 'अलीम' दिल के नज़र को दिया है ताब
अपने करम सूँ क़िबला-ए-वाला जनाब आ

- Alimullah
0 Likes

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari