ghaflat mein soya ab tilak phir hovega hoshyaar kab | ग़फ़लत में सोया अब तिलक फिर होवेगा होश्यार कब - Alimullah

ghaflat mein soya ab tilak phir hovega hoshyaar kab
yaari lagaaya khalk soon paavega apna yaar kab

jhooti mohabbat baandh kar ghaafil raha apne soon haif
bulbul hoon sanpda daam mein dekhega phir gulzaar kab

ye khwaab-o-khur farzand-o-zan aur maal-o-zar zindaan hua
to chhoot kar is qaid soon haasil kare deedaar kab

hirs-o-hawaa bugz-o-hasad kibr-o-mani bukhl o jahal
is rah-zanaan soon baach kar hovega bar-khurdaar kab

is nafs-e-kaafir-kash ki khaslat tujhe maaloom nahin
gar qatl keetaa nahin use tujh ko mile dildaar kab

bin peer pahuncha nahin kabhi kui saahil-e-maqsud ko
mallaah bin kashti kahi hoti hai dariya paar kab

bar-haq aleemullah kaha rab qaul yahdi-main-yasha
jannat ke taalib ko kaho aave nazar deedaar kab

ग़फ़लत में सोया अब तिलक फिर होवेगा होश्यार कब
यारी लगाया ख़ल्क़ सूँ पावेगा अपना यार कब

झूटी मोहब्बत बाँध कर ग़ाफ़िल रहा अपने सूँ हैफ़
बुलबुल हूँ सँपड़ा दाम में देखेगा फिर गुलज़ार कब

ये ख़्वाब-ओ-ख़ुर फ़रज़ंद-ओ-ज़न और माल-ओ-ज़र ज़िंदाँ हुआ
तो छूट कर इस क़ैद सूँ हासिल करे दीदार कब

हिर्स-ओ-हवा बुग़्ज़-ओ-हसद किब्र-ओ-मनी बुख़्ल ओ जहल
इस रह-ज़नान सूँ बाच कर होवेगा बर-ख़ुरदार कब

इस नफ़्स-ए-काफ़िर-कश की ख़सलत तुझे मालूम नहिं
गर क़त्ल कीता नहिं उसे तुझ को मिले दिलदार कब

बिन पीर पहुँचा नहिं कभी कुइ साहिल-ए-मक़्सूद को
मल्लाह बिन कश्ती कहीं होती है दरिया पार कब

बर-हक़ 'अलीमुल्लाह' कहा रब क़ौल यहदी-मैं-यशा
जन्नत के तालिब को कहो आवे नज़र दीदार कब

- Alimullah
0 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari