husn ka dekh har taraf gulzaar | हुस्न का देख हर तरफ़ गुलज़ार - Alimullah

husn ka dekh har taraf gulzaar
andleebaan hue hain dil-afgaar

ishq ki may soon jo hua sarmast
dil hua us ka khaana-e-khummaar

yaar aaya hai jab muaalij ho
dard-e-furqat mein nahin raha beemaar

aap aashiq hai husn par apne
hai mere jaan ka ajab asraar

kahi aashiq kahi hua dilbar
kahi maashooq keen hua dildaar

keen hua shams keen hua hai qamar
keen hua noor keen hua hai naar

keen hua arz keen hua hai falak
keen hua bahar keen hua ashjaar

keen hua ins keen hua hai malak
keen hua deed keen hua deedaar

keen payambar kahi hua hai wali
keen hua shaikh keen hua zunnar

keen hai qaazi kahi hua mufti
keen hua mast keen hua abraar

keen hua jaan keen hua jaanaan
sab mein hai aur kahi sabhon se paar

haq mein haq ho sada anal-haq bol
dekh mansoor kyun chadha hai daar

ik-pana zaat ka aleemullah
sharai bin gair kuchh na kar takraar

हुस्न का देख हर तरफ़ गुलज़ार
अंदलीबाँ हुए हैं दिल-अफ़गार

इश्क़ की मय सूँ जो हुआ सरमस्त
दिल हुआ उस का ख़ाना-ए-ख़ु़म्मार

यार आया है जब मुआलिज हो
दर्द-ए-फ़ुर्क़त में नहिं रहा बीमार

आप आशिक़ है हुस्न पर अपने
है मिरे जान का अजब असरार

कहीं आशिक़ कहीं हुआ दिलबर
कहीं माशूक़ कीं हुआ दिलदार

कीं हुआ शम्स कीं हुआ है क़मर
कीं हुआ नूर कीं हुआ है नार

कीं हुआ अर्ज़ कीं हुआ है फ़लक
कीं हुआ बहर कीं हुआ अश्जार

कीं हुआ इंस कीं हुआ है मलक
कीं हुआ दीद कीं हुआ दीदार

कीं पयम्बर कहीं हुआ है वली
कीं हुआ शैख़ कीं हुआ ज़ुन्नार

कीं है क़ाज़ी कहीं हुआ मुफ़्ती
कीं हुआ मस्त कीं हुआ अबरार

कीं हुआ जान कीं हुआ जानाँ
सब में है और कहीं सभों से पार

हक़ में हक़ हो सदा अनल-हक़ बोल
देख मंसूर क्यूँ चढ़ा है दार

इक-पना ज़ात का 'अलीमुल्लाह'
शरअ बिन ग़ैर कुछ न कर तकरार

- Alimullah
0 Likes

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari