jab piyaara gila sunaata hai | जब पियारा गिला सुनाता है - Alimullah

jab piyaara gila sunaata hai
ishq taaza badan mein aata hai

hosh jaata hai sar soon sab yak baar
jab ghunghat khol mukh dikhaata hai

tab adoo dekh kar mujhe mera
maar ke misl pech khaata hai

khaak hota hai balki jal us waqt
mujh ko khilwat mein jab bulaata hai

mujh ko le ja pyaas apas ghar mein
badaa-e-wasl phir pilaata hai

kar majaazi mein fan haqeeqat ka
haasidaan ke dilaan jalata hai

sher tera ajab aleemullah
shola-e-ishq ko chataata hai

जब पियारा गिला सुनाता है
इश्क़ ताज़ा बदन में आता है

होश जाता है सर सूँ सब यक बार
जब घुँघट खोल मुख दिखाता है

तब अदू देख कर मुझे मेरा
मार के मिस्ल पेच खाता है

ख़ाक होता है बल्कि जल उस वक़्त
मुझ को ख़ल्वत में जब बुलाता है

मुझ को ले जा प्यास अपस घर में
बादा-ए-वस्ल फिर पिलाता है

कर मजाज़ी में फ़न हक़ीक़त का
हासिदाँ के दिलाँ जलाता है

शेर तेरा अजब 'अलीमुल्लाह'
शोला-ए-इश्क़ को चताता है

- Alimullah
0 Likes

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari