khayaalaat rangeen nahin bolte us ko jyuun baas phoolon ke rangon mein rahiye | ख़यालात रंगीं नहीं बोलते उस को ज्यूँ बास फूलों के रंगों में रहिए - Alimullah

khayaalaat rangeen nahin bolte us ko jyuun baas phoolon ke rangon mein rahiye
do-rangi soon jaana guzar dil soon awwal bazaan ja ke waan ek rangon mein rahiye

vo vehshat ke jungle mein ho kar pareshaan pahaadon se gham ke na ho sang hargiz
sharar ho ke chhid sang tinke soon jaldi sakal rooh ho barq rangon mein rahiye

nahin mauj-e-dariya ki dahshat use jo ki maara hai ghota ho ghavvaas dil mein
tah-e-bahr-e-wahdat mein ghavvaas hone ko taaleem paane nangon mein rahiye

shahaadat mile chaar tan soon tujhe gar kare qatl tu paanch mooziyaan koon dil ke
shaheedon ki rah saath har waqt hamdam ho jyuun sher sheraan jangoon mein rahiye

falak charkh-e-kaj-rau soon dekhe agar khoob nairang-baazi zamaane ki hikmat
guzar gair sohbat soon madhosh ho ja pahaadon mein ja kar bhujangon mein rahiye

samajh ai aleem aaj raah-e-haqiqat nipt sakht mushkil hai jaan soon guzarna
patang ho ke jalne mein waasil rahein haq soon ho mard-e-waahid yakangon mein rahiye

ख़यालात रंगीं नहीं बोलते उस को ज्यूँ बास फूलों के रंगों में रहिए
दो-रंगी सूँ जाना गुज़र दिल सूँ अव्वल बज़ाँ जा के वाँ एक रंगों में रहिए

वो वहशत के जंगल में हो कर परेशाँ पहाड़ों से ग़म के न हो संग हरगिज़
शरर हो के छिड़ संग तिनके सूँ जल्दी सकल रूह हो बर्क़ रंगों में रहिए

नहीं मौज-ए-दरिया की दहशत उसे जो कि मारा है ग़ोता हो ग़व्वास दिल में
तह-ए-बहर-ए-वहदत में ग़व्वास होने को तालीम पाने नहंगों में रहिए

शहादत मिले चार तन सूँ तुझे गर करे क़त्ल तू पाँच मूज़ियाँ कूँ दिल के
शहीदों की रह साथ हर वक़्त हमदम हो ज्यूँ शेर शेरान जंगों में रहिए

फ़लक चर्ख़-ए-कज-रौ सूँ देखे अगर ख़ूब नैरंग-बाज़ी ज़माने की हिकमत
गुज़र ग़ैर सोहबत सूँ मदहोश हो जा पहाड़ों में जा कर भुजंगों में रहिए

समझ ऐ 'अलीम' आज राह-ए-हक़ीक़त निपट सख़्त मुश्किल है जाँ सूँ गुज़रना
पतंग हो के जलने में वासिल रहें हक़ सूँ हो मर्द-ए-वाहिद यकंगों में रहिए

- Alimullah
0 Likes

Qatil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Qatil Shayari Shayari