keetaa kahi pukaar ai ghaafil biya biya | कीता कहीं पुकार ऐ ग़ाफ़िल बिया बिया - Alimullah

keetaa kahi pukaar ai ghaafil biya biya
firta hai kyun tu bhool apas ka piya piya

bujha hai kyun ajal ko apas se baeed kar
ghaflat mein chup umar ko tu zaae kiya kiya

ab to samajh tuk ek tira jaan kaun hai
paapa hai jee ko jis ne mua nahin jiya jiya

lekin nahin hai kaam har ik khaam ka yahan
aashiq wahi hua hai ki jo sar diya diya

pahuncha hai jo ki ishq mein manzil ko vasl ki
be-shak sakal jahaan mein hua be-riya riya

jo kui qadam ko apne rakha raah-e-ishq mein
kahte hain aashiqan ki vo manzil liya liya

dono jahaan se kaam nahin mujh ko ai aleem
bas hai mujhe kareem diya so hiya hiya

कीता कहीं पुकार ऐ ग़ाफ़िल बिया बिया
फिरता है क्यूँ तू भूल अपस का पिया पिया

बूझा है क्यूँ अजल को अपस से बईद कर
ग़फ़लत में चुप उमर को तू ज़ाए किया किया

अब तो समझ टुक एक तिरा जान कौन है
पापा है जी को जिस ने मुआ नहिं जिया जिया

लेकिन नहीं है काम हर इक ख़ाम का यहाँ
आशिक़ वही हुआ है कि जो सर दिया दिया

पहुँचा है जो कि इश्क़ में मंज़िल को वस्ल की
बे-शक सकल जहाँ में हुआ बे-रिया रिया

जो कुइ क़दम को अपने रखा राह-ए-इश्क़ में
कहते हैं आशिक़ाँ की वो मंज़िल लिया लिया

दोनों जहाँ से काम नहीं मुझ को ऐ 'अलीम'
बस है मुझे करीम दिया सो हिया हिया

- Alimullah
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari