la-makaan lag aashiqan ke ishq ka parwaaz hai | ला-मकाँ लग आशिक़ाँ के इश्क़ का पर्वाज़ है - Alimullah

la-makaan lag aashiqan ke ishq ka parwaaz hai
aasmaan aur arsh-o-kursi un ka pa-andaaz hai

ik tafakkur un ka afzal az-ta'at-e-hafta-o-saal
sab khalaaiq par unhon ka is sabab ezaaz hai

aalimaan aur aabidaan ki bandagi sab qeel-o-qaal
aashiqan ke dil mein raushan jo ki makhfi raaz hai

mootu-qubla-an-tamootu haal hai ushshaq ka
aalimaan ke gosh mein us harf ka awaaz hai

bul-hawas ko sham'a se dil baandhna mumkin nahin
aashiqan ka is sabab zaahid sada aghmaaz hai

khair o shar soon aashiqan be-dil nahin aur boojhte
ranj o raahat ishq mein maashooq ka sab naaz hai

tal gaye is maarkhe soon kai hazaaraan ai aleem
jo raha so naam us ka aashiq-e-jaan-baaz hai

ला-मकाँ लग आशिक़ाँ के इश्क़ का पर्वाज़ है
आसमान और अर्श-ओ-कुर्सी उन का पा-अंदाज़ है

इक तफ़क्कुर उन का अफ़ज़ल अज़-ताअत-ए-हफ़्ता-ओ-साल
सब ख़लाइक़ पर उन्हों का इस सबब एज़ाज़ है

आलिमाँ और आबिदाँ की बंदगी सब क़ील-ओ-क़ाल
आशिक़ाँ के दिल में रौशन जो कि मख़्फ़ी राज़ है

मूतू-क़ब्ला-अन-तमूतू हाल है उश्शाक़ का
आलिमाँ के गोश में उस हर्फ़ का आवाज़ है

बुल-हवस को शम्अ से दिल बाँधना मुमकिन नहीं
आशिक़ाँ का इस सबब ज़ाहिद सदा अग़माज़ है

ख़ैर ओ शर सूँ आशिक़ाँ बे-दिल नहीं और बूझते
रंज ओ राहत इश्क़ में माशूक़ का सब नाज़ है

टल गए इस मारके सूँ कई हज़ाराँ ऐ 'अलीम'
जो रहा सो नाम उस का आशिक़-ए-जाँ-बाज़ है

- Alimullah
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari