piya ke rukh ki jhalak ka partav kiya hai jhalkaar aaftaabi | पिया के रुख़ की झलक का परतव किया है झलकार आफ़्ताबी - Alimullah

piya ke rukh ki jhalak ka partav kiya hai jhalkaar aaftaabi
nazar soon aalam ke ho rahi hai misaal-e-khuffaash be-hijaabi

jise vo chahata hai mukh dikhaane usi ko hai taab dekhne ka
wahi samajh bakhsh murshid un ka talab hai tuun maang ja shitaabi

agar mile tujh ko chashm-e-baatin wahi hai maqsood aqibat se
vagarna tahqiq-e-do-jahaan mein nahin hai haasil b-juz kharaabi

usi ko kahte hain kor baatin jise nahin haiga deed us ka
na paavega vo najaat hargiz agarche vo ilm hai kitaabi

kareem murshid ne chashm-e-baatin kiya nawaazish aleem ke tai
wasa haqeeqat ke ghan ka khurshid gai nikal kar nazar khudka

पिया के रुख़ की झलक का परतव किया है झलकार आफ़्ताबी
नज़र सूँ आलम के हो रही है मिसाल-ए-ख़ुफ़्फ़ाश बे-हिजाबी

जिसे वो चहता है मुख दिखाने उसी को है ताब देखने का
वही समझ बख़्श मुर्शिद उन का तलब है तूँ माँग जा शिताबी

अगर मिले तुझ को चश्म-ए-बातिन वही है मक़्सूद आक़िबत से
वगर्ना तहक़ीक़-ए-दो-जहाँ में नहीं है हासिल ब-जुज़ ख़राबी

उसी को कहते हैं कोर बातिन जिसे नहीं हैगा दीद उस का
न पावेगा वो नजात हरगिज़ अगरचे वो इल्म है किताबी

करीम मुर्शिद ने चश्म-ए-बातिन किया नवाज़िश 'अलीम' के तईं
वसा हक़ीक़त के घन का ख़ुर्शीद गई निकल कर नज़र सराबी

- Alimullah
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari