raqeeb-e-nafs ka mukh modtaa rah | रक़ीब-ए-नफ़्स का मुख मोड़ता रह - Alimullah

raqeeb-e-nafs ka mukh modtaa rah
hawa aur hirs ke tai todta rah

utha sang-e-riyaazat dast-e-dil soon
sada sheeshe ko tan ke todta rah

shujaat saath le kar zikr ka teg
sadak ghaflat ke dil par chhodta rah

lagaaya hai agar rishta prit ka
nazar ke silsile soon jodta rah

aleemullah hove ek dam door
ye bad-khulqat ko yak yak todta rah

रक़ीब-ए-नफ़्स का मुख मोड़ता रह
हवा और हिर्स के तईं तोड़ता रह

उठा संग-ए-रियाज़त दस्त-ए-दिल सूँ
सदा शीशे को तन के तोड़ता रह

शुजाअत साथ ले कर ज़िक्र का तेग़
सड़क ग़फ़लत के दिल पर छोड़ता रह

लगाया है अगर रिश्ता प्रित का
नज़र के सिलसिले सूँ जोड़ता रह

'अलीमुल्लाह' होवे एक दम दूर
ये बद-ख़स्लत को यक यक तोड़ता रह

- Alimullah
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari