tu hai kis manzil mein tera bol khaan hai dil ka thaar | तू है किस मंज़िल में तेरा बोल खाँ है दिल का ठार - Alimullah

tu hai kis manzil mein tera bol khaan hai dil ka thaar
dam tira aata hai khaan soon bol khaan jaata hai bhaar

dam ke tai bujha so kahte is ke tai insaan hai
nahin to soorat aadmi seerat mein hai misl-e-himaar

main kehta so kaun hai aur tu samajhta hai kise
kyun abas main tu mein pad kar be-abs hota hai khwaar

raahbar hai kaun tera bol tu kis ka faqeer
faqr ka kya haasilaa samjha mujhe mat ho ganwaar

aashiqan ke bazm mein ik rang ho ai bul-hawas
mat kaha bulbul naman chaunda phula kar taajdaar

bahar ke ghavvaas se mat bahs kar ai khaam-tab'a
nahin gaya hai umr mein apne tu dariya ke kanaar

kaj-bahs aata hai karne jang jab ushshaq soon
jyuun ki tair-e-haft-rangi ho gaya aa kar shikaar

poochta aaya hoon jo kuchh sawaal ka mere jawaab
thartharaata hai abas seemaab namne be-qaraar

ta kahe lag jawaab tujh par faqr ka lukma haraam
bazm-e-rindaan soon nikal ja jald-tar ho kar firaar

shor aur ghauga abas karta hai kyun rang kar libaas
munh utha jaata hai jyuun be-qaid shutr-e-be-mahaar

ai aleemullah na kar kaj-bahs soon sawaal o jawaab
haasilaa tarfain nahin hota b-juz ghauga pukaar

तू है किस मंज़िल में तेरा बोल खाँ है दिल का ठार
दम तिरा आता है खाँ सूँ बोल खाँ जाता है भार

दम के तईं बूझा सो कहते इस के तईं इंसान है
नहिं तो सूरत आदमी सीरत में है मिस्ल-ए-हिमार

मैं कहता सो कौन है और तू समझता है किसे
क्यूँ अबस मैं तू में पड़ कर बे-अबस होता है ख़्वार

राहबर है कौन तेरा बोल तू किस का फ़क़ीर
फ़क़्र का क्या हासिला समझा मुझे मत हो गंवार

आशिक़ाँ के बज़्म में इक रंग हो ऐ बुल-हवस
मत कहा बुलबुल नमन चौंडा फुला कर ताजदार

बहर के ग़व्वास से मत बहस कर ऐ ख़ाम-तब्अ
नहिं गया है उम्र में अपने तू दरिया के कनार

कज-बहस आता है करने जंग जब उश्शाक़ सूँ
ज्यूँ कि तैर-ए-हफ़्त-रंगी हो गया आ कर शिकार

पूछता आया हूँ जो कुछ स्वाल का मेरे जवाब
थरथराता है अबस सीमाब नमने बे-क़रार

ता कहे लग ज्वाब तुझ पर फ़क़्र का लुक़्मा हराम
बज़्म-ए-रिंदाँ सूँ निकल जा जल्द-तर हो कर फ़रार

शोर और ग़ौग़ा अबस करता है क्यूँ रंग कर लिबास
मुँह उठा जाता है ज्यूँ बे-क़ैद शुत्र-ए-बे-महार

ऐ 'अलीमुल्लाह' न कर कज-बहस सूँ स्वाल ओ जवाब
हासिला तरफ़ैन नहिं होता ब-जुज़ ग़ौग़ा पुकार

- Alimullah
0 Likes

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari