yaar ke darsan ke khaatir jaan aur tan bhool ja | यार के दरसन के ख़ातिर जान और तन भूल जा - Alimullah

yaar ke darsan ke khaatir jaan aur tan bhool ja
mukh munavvar dekh us ka rang-e-gulshan bhool ja

chadh ke taazi ishq ka nit man-arf ka sair kar
qad-arf ka pahunch ai dil mehal-o-maskan bhool ja

tark de islaam ko aur kufr saara door kar
chhod de hirs-o-hawaa farzand aur zan bhool ja

aarsi mein dil ke har dam dekh mukhda rooh ka
jaam ko jamshed ke aur fikr-e-darpan bhool ja

dam-b-dam dil ke nazar soon pee ke darsan ka sharaab
ai aleemullah jahaan ke makr aur fan bhool ja

यार के दरसन के ख़ातिर जान और तन भूल जा
मुख मुनव्वर देख उस का रंग-ए-गुलशन भूल जा

चढ़ के ताज़ी इश्क़ का नित 'मन-अरफ़' का सैर कर
'क़द-अरफ़' का पहुँच ऐ दिल महल-ओ-मस्कन भूल जा

तर्क दे इस्लाम को और कुफ़्र सारा दूर कर
छोड़ दे हिर्स-ओ-हवा फ़रज़ंद और ज़न भूल जा

आरसी में दिल के हर दम देख मुखड़ा रूह का
जाम को जमशेद के और फ़िक्र-ए-दर्पन भूल जा

दम-ब-दम दिल के नज़र सूँ पी के दरसन का शराब
ऐ 'अलीमुल्लाह' जहाँ के मक्र और फ़न भूल जा

- Alimullah
0 Likes

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari