labreiz hai sharaab-e-haqeeqat se jaam-e-hind
sab falsafi hain khitta-e-maghrib ke raam-e-hind
ye hindiyo ki fikr-e-falak-ras ka hai asar
rif'at mein aasmaan se bhi ooncha hai baam-e-hind
is des mein hue hain hazaaron malak-sarisht
mashhoor jin ke dam se hai duniya mein naam-e-hind
hai raam ke vujood pe hindostaan ko naaz
ahl-e-nazar samjhte hain is ko imaam-e-hind
ejaz is charaagh-e-hidaayat ka hai yahi
raushan-tar-az-sehar hai zamaane mein shaam-e-hind
talwaar ka dhani tha shuja'at mein fard tha
paakizagi mein josh-e-mohabbat mein fard tha
लबरेज़ है शराब-ए-हक़ीक़त से जाम-ए-हिंद
सब फ़लसफ़ी हैं ख़ित्ता-ए-मग़रिब के राम-ए-हिंद
ये हिन्दियों की फ़िक्र-ए-फ़लक-रस का है असर
रिफ़अत में आसमाँ से भी ऊँचा है बाम-ए-हिंद
इस देस में हुए हैं हज़ारों मलक-सरिश्त
मशहूर जिन के दम से है दुनिया में नाम-ए-हिंद
है राम के वजूद पे हिन्दोस्ताँ को नाज़
अहल-ए-नज़र समझते हैं इस को इमाम-ए-हिंद
एजाज़ इस चराग़-ए-हिदायत का है यही
रौशन-तर-अज़-सहर है ज़माने में शाम-ए-हिंद
तलवार का धनी था शुजाअ'त में फ़र्द था
पाकीज़गी में जोश-ए-मोहब्बत में फ़र्द था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Shohrat Shayari Shayari