aah be-taaseer hai naala rasaa koi nahin
dard vo mujh ko mila jis ki dava koi nahin
dekhta hoon raah mein mud mud ke har chehre ko main
hum-safar kitne hain lekin ham-nava koi nahin
is se badh kar aur kya hoga azaab-e-zindagi
aankh sab rakhte hain lekin dekhta koi nahin
padhte hain is daur ke arbaab-e-danish roz-o-shab
vo sahife jin mein ki baab-e-dua koi nahin
waqt par jo kaam aa jaaye use achha kaho
ai dil-e-muztar yahan achha bura koi nahin
aagahi ke zo'm mein kitne bana dale the roop
ab khula ki apna hi naam-o-pata koi nahin
tarjumaan-e-khaar-o-khas ahmad hai poocho un ka haal
laala-o-gul ke jahaan se vaasta koi nahin
आह बे-तासीर है नाला रसा कोई नहीं
दर्द वो मुझ को मिला जिस की दवा कोई नहीं
देखता हूँ राह में मुड़ मुड़ के हर चेहरे को मैं
हम-सफ़र कितने हैं लेकिन हम-नवा कोई नहीं
इस से बढ़ कर और क्या होगा अज़ाब-ए-ज़िंदगी
आँख सब रखते हैं लेकिन देखता कोई नहीं
पढ़ते हैं इस दौर के अर्बाब-ए-दानिश रोज़-ओ-शब
वो सहीफ़े जिन में कि बाब-ए-दुआ कोई नहीं
वक़्त पर जो काम आ जाए उसे अच्छा कहो
ऐ दिल-ए-मुज़्तर यहाँ अच्छा बुरा कोई नहीं
आगही के ज़ो'म में कितने बना डाले थे रूप
अब खुला कि अपना ही नाम-ओ-पता कोई नहीं
तर्जुमान-ए-ख़ार-ओ-ख़स 'अहमद' है पूछो उन का हाल
लाला-ओ-गुल के जहाँ से वास्ता कोई नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Ahmad Aazmi
our suggestion based on Altaf Ahmad Aazmi
As you were reading Rishta Shayari Shayari