ab to taqleed ke zindaan se nikalne do mujhe
waqt badla hai to thoda sa badlne do mujhe
main kahaan aur kahaan waqt ke namrood ki aag
apne hi shola-e-ehsaas mein jalne do mujhe
kis liye aa ke khadi hai mere aage zulmat
main to suraj hoon nikalna hai nikalne do mujhe
chhoot jaaye na kahi haath se daaman-e-wafa
kuchh to ai gardish-e-ayyaam sambhalne do mujhe
mujh ko manzoor nahin gair ka qaaleb hargiz
apne toote hue saanche hi mein dhalne do mujhe
khwaab ki dhund hai kuchh der mein chhat jaayegi
so ke utha hoon zara aankh to malne do mujhe
hoga irfaan-e-haqeeqat bhi kisi din ahmad
koocha-e-vahm-o-gumaan se to nikalne do mujhe
अब तो तक़लीद के ज़िंदाँ से निकलने दो मुझे
वक़्त बदला है तो थोड़ा सा बदलने दो मुझे
मैं कहाँ और कहाँ वक़्त के नमरूद की आग
अपने ही शो'ला-ए-एहसास में जलने दो मुझे
किस लिए आ के खड़ी है मिरे आगे ज़ुल्मत
मैं तो सूरज हूँ निकलना है निकलने दो मुझे
छूट जाए न कहीं हाथ से दामान-ए-वफ़ा
कुछ तो ऐ गर्दिश-ए-अय्याम सँभलने दो मुझे
मुझ को मंज़ूर नहीं ग़ैर का क़ालिब हरगिज़
अपने टूटे हुए साँचे ही में ढलने दो मुझे
ख़्वाब की धुंद है कुछ देर में छट जाएगी
सो के उट्ठा हूँ ज़रा आँख तो मलने दो मुझे
होगा इरफ़ान-ए-हक़ीक़त भी किसी दिन 'अहमद'
कूचा-ए-वहम-ओ-गुमाँ से तो निकलने दो मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Ahmad Aazmi
our suggestion based on Altaf Ahmad Aazmi
As you were reading Sooraj Shayari Shayari