jalwa-ha-e-zindagi ko kya kahein
chaar din ki chaandni ko kya kahein
dekhte hain chehra-e-khaashaak bhi
phool teri taazgi ko kya kahein
tifl-e-maktab ki nazar bhi kya nazar
aql teri rahbari ko kya kahein
aandhiyon se dekhiye us ka ghuroor
khaak-e-pa ki aajizi ko kya kahein
dil gham-o-andoh se khaali to ho
laala-o-gul ki hasi ko kya kahein
kuchh nahin sab khel hai taqdeer ka
waqt teri be-rukhi ko kya kahein
sab se kah deta hai ahmad haal-e-dil
us ke dil ki saadgi ko kya kahein
जल्वा-हा-ए-ज़िंदगी को क्या कहें
चार दिन की चाँदनी को क्या कहें
देखते हैं चेहरा-ए-ख़ाशाक भी
फूल तेरी ताज़गी को क्या कहें
तिफ़्ल-ए-मकतब की नज़र भी क्या नज़र
अक़्ल तेरी रहबरी को क्या कहें
आँधियों से देखिए उस का ग़ुरूर
ख़ाक-ए-पा की आजिज़ी को क्या कहें
दिल ग़म-ओ-अंदोह से ख़ाली तो हो
लाला-ओ-गुल की हँसी को क्या कहें
कुछ नहीं सब खेल है तक़दीर का
वक़्त तेरी बे-रुख़ी को क्या कहें
सब से कह देता है 'अहमद' हाल-ए-दिल
उस के दिल की सादगी को क्या कहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Ahmad Aazmi
our suggestion based on Altaf Ahmad Aazmi
As you were reading Basant Shayari Shayari