kya kahoon dil to giraftaar-e-bala hai ab tak | क्या कहूँ दिल तो गिरफ़्तार-ए-बला है अब तक

  - Altaf Ahmad Aazmi

kya kahoon dil to giraftaar-e-bala hai ab tak
kaun dushman hai jo is ghar mein chhupa hai ab tak

kis ko ilzaam doon ai bakht-e-sitamgar tu bata
phool de kar mujhe patthar hi mila hai ab tak

band hai baab-e-ijaabat to koi kya maange
ik mera dastdua hai ki utha hai ab tak

kaun hoon ye nahin maaloom magar hoon maujood
itni hi baat ka idraak hua hai ab tak

khaar to khaar hai kyun us ko uthaya main ne
apne hi dil ki muravvat se gila hai ab tak

ho gaye mujh se juda saare rafeeqaan-e-safar
ik faqat dard hai pahluu se laga hai ab tak

koi badla nahin is daur-e-khird mein ahmad
ek main hoon ki jise paas-e-wafa hai ab tak

क्या कहूँ दिल तो गिरफ़्तार-ए-बला है अब तक
कौन दुश्मन है जो इस घर में छुपा है अब तक

किस को इल्ज़ाम दूँ ऐ बख़्त-ए-सितमगर तू बता
फूल दे कर मुझे पत्थर ही मिला है अब तक

बंद है बाब-ए-इजाबत तो कोई क्या माँगे
इक मिरा दस्तदुआ है कि उठा है अब तक

कौन हूँ ये नहीं मालूम मगर हूँ मौजूद
इतनी ही बात का इदराक हुआ है अब तक

ख़ार तो ख़ार है क्यों उस को उठाया मैं ने
अपने ही दिल की मुरव्वत से गिला है अब तक

हो गए मुझ से जुदा सारे रफ़ीक़ान-ए-सफ़र
इक फ़क़त दर्द है पहलू से लगा है अब तक

कोई बदला नहीं इस दौर-ए-ख़िरद में 'अहमद'
एक मैं हूँ कि जिसे पास-ए-वफ़ा है अब तक

  - Altaf Ahmad Aazmi

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Ahmad Aazmi

As you were reading Shayari by Altaf Ahmad Aazmi

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Ahmad Aazmi

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari