zakham kha kar bhi muskurana hai
dost dushman ko aazmaana hai
vo kahaan aur iltifaat kahaan
dil dukhaane ka ik bahaana hai
jaanta hoon haqeeqat-e-hasti
jaan kar bhi fareb khaana hai
dhoondhti phir rahi hai barq-e-sitam
chand tinkon ka aashiyana hai
fikr-e-duniya mein ghul rahe hain log
chaar din ka ye aab-o-daana hai
kuchh nahin sair-e-mai-kada se garz
zeest karne ka ik bahaana hai
gham se ahmad najaat kyun kar ho
is se rishta bahut puraana hai
ज़ख़्म खा कर भी मुस्कुराना है
दोस्त दुश्मन को आज़माना है
वो कहाँ और इल्तिफ़ात कहाँ
दिल दुखाने का इक बहाना है
जानता हूँ हक़ीक़त-ए-हस्ती
जान कर भी फ़रेब खाना है
ढूँढती फिर रही है बर्क़-ए-सितम
चंद तिनकों का आशियाना है
फ़िक्र-ए-दुनिया में घुल रहे हैं लोग
चार दिन का ये आब-ओ-दाना है
कुछ नहीं सैर-ए-मै-कदा से ग़रज़
ज़ीस्त करने का इक बहाना है
ग़म से 'अहमद' नजात क्यों कर हो
इस से रिश्ता बहुत पुराना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Ahmad Aazmi
our suggestion based on Altaf Ahmad Aazmi
As you were reading Bahan Shayari Shayari