kisi tarah bhi jo is reg-zaar-e-hasti par
ubhar saka jo na poora vo naqsh-e-paa hoon main
jo har taraf se hawaon ki thokren khaaye
dar-e-qubool ki rad-karda vo dua hoon main
na hauslon mein tamvuj na valvalon mein kharosh
isee ka naam hai jeena to jee raha hoon main
wafa pe tanj hai aawaaragi-e-shauq nahin
har aastaan pe jo sajde bikherta hoon main
badal saki jise ab tak na be-rukhi teri
wahi wafa ka sataaya hua raza hoon main
किसी तरह भी जो इस रेग-ज़ार-ए-हस्ती पर
उभर सका जो न पूरा वो नक़्श-ए-पा हूँ मैं
जो हर तरफ़ से हवाओं की ठोकरें खाए
दर-ए-क़ुबूल की रद-कर्दा वो दुआ हूँ मैं
न हौसलों में तमव्वुज न वलवलों में ख़रोश
इसी का नाम है जीना तो जी रहा हूँ मैं
वफ़ा पे तंज़ है आवारगी-ए-शौक़ नहीं
हर आस्ताँ पे जो सज्दे बिखेरता हूँ मैं
बदल सकी जिसे अब तक न बे-रुख़ी तेरी
वही वफ़ा का सताया हुआ 'रज़ा' हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari
our suggestion based on Ameer Raza Mazhari
As you were reading Ijazat Shayari Shayari