hote hote hue bedaar zara der ke baad | होते होते हुए बेदार ज़रा देर के बाद

  - Anjali Sahar

hote hote hue bedaar zara der ke baad
badhte badhte badhi raftaar zara der ke baad

uske qadmon ne chhua hai abhi is mitti ko
sabz ho jaaenge ashjaar zara der ke baad

ek muddat mein khada hota hai khwaabon ka nagar
tootne lagti hai deewaar zara der ke baad

tum samajhne lage ustaad abhi se khud ko
ai mere achhe ghazalkaar zara der ke baad

abhi sookha bhi nahin tha ye dupatta mera
aur hone lagi bauchaar zara der ke baad

maazrat main zara masroof hoon is waqt kahi
baat hoti hai mere yaar zara der ke baad

dil sambhalta hai ik arse mein sehar aur akshar
chhootne lagti hai patwaar zara der ke baad

होते होते हुए बेदार ज़रा देर के बाद
बढ़ते बढ़ते बढ़ी रफ़्तार ज़रा देर के बाद

उसके क़दमों ने छुआ है अभी इस मिट्टी को
सब्ज़ हो जाएंँगे अश्जार ज़रा देर के बाद

एक मुद्दत में खड़ा होता है ख़्वाबों का नगर
टूटने लगती है दीवार ज़रा देर के बाद

तुम समझने लगे उस्ताद अभी से ख़ुद को
ऐ मेरे अच्छे ग़ज़लकार ज़रा देर के बाद

अभी सूखा भी नहीं था ये दुपट्टा मेरा
और होने लगी बौछार ज़रा देर के बाद

माज़रत मैं ज़रा मसरूफ़ हूँ इस वक़्त कहीं
बात होती है मेरे यार ज़रा देर के बाद

दिल सँभलता है इक अरसे में 'सहर' और अक्सर
छूटने लगती है पतवार ज़रा देर के बाद

  - Anjali Sahar

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anjali Sahar

As you were reading Shayari by Anjali Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Anjali Sahar

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari