qudrat ne manzar dikhlaaye kaise kaise
mitti bheetar beej samaaye kaise kaise
banjar dharti sukhe dariya ujde jungle
panchi apni jaan bachaaye kaise kaise
log to tumko patthar dil batlaate hain phir
aankhon mein dariya bhar aaye kaise kaise
ai haalaat ke maaron ab tak zinda ho tum
aakhir beḍe paar lagaaye kaise kaise
bachpan mein boodhe ho gaye kaise mat poocho
in aankhon ne daur dikhaaye kaise kaise
tum kya jaano ham par kya kya guzri yaaron
hamne apne praan bachaaye kaise kaise
कुदरत ने मंज़र दिखलाए कैसे कैसे
मिट्टी भीतर बीज समाए कैसे कैसे
बंजर धरती, सूखे दरिया, उजड़े जंगल
पंछी अपनी जान बचाए कैसे कैसे
लोग तो तुमको पत्थर दिल बतलाते हैं फिर
आँखों में दरिया भर आए कैसे कैसे
ऐ हालात के मारों अब तक ज़िंदा हो तुम
आखिर बेड़े पार लगाए कैसे कैसे
बचपन में बूढ़े हो गए कैसे मत पूछो
इन आँखों ने दौर दिखाए कैसे कैसे
तुम क्या जानो हम पर क्या क्या गुज़री यारों
हमने अपने प्राण बचाए कैसे कैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anjali Sahar
our suggestion based on Anjali Sahar
As you were reading Dariya Shayari Shayari