saath jab tak hai vo mushkil nahin rasta koi | साथ जब तक है वो मुश्किल नहीं रस्ता कोई

  - Anjali Sahar

saath jab tak hai vo mushkil nahin rasta koi
maa hai jaise ki kaddi dhoop mein saaya koi

apne apnon ke dilon mein sab utar jaate hain
baad marne ke sitaara nahin banta koi

jo bhi hota hai vo achhe ke liye hota hai
aisi baaton pe nahin mujhko bharosa koi

aas aati hai nazar haath nahin aata kuchh
zindagi hai meri tapta hua sehra koi

ham tera naam rata karte hain aise jaise
pherta ho koi tasbeeh ki maala koi

ashk bahte hain to bahte hi chale jaate hain
jaise barkha mein ho chadhta hua dariya koi

badi manzil ho to rasta bhi bada hota hai
mushkilon ka sehar aasaan nahin rasta koi

साथ जब तक है वो मुश्किल नहीं रस्ता कोई
माँ है जैसे कि कड़ी धूप में साया कोई

अपने अपनों के दिलों में सब उतर जाते हैं
बाद मरने के सितारा नहीं बनता कोई

जो भी होता है वो अच्छे के लिए होता है
ऐसी बातों पे नहीं मुझको भरोसा कोई

आस आती है नज़र हाथ नहीं आता कुछ
ज़िंदगी है मेरी तपता हुआ सहरा कोई

हम तेरा नाम रटा करते हैं ऐसे जैसे
फेरता हो कोई तस्बीह की माला कोई

अश्क बहते हैं तो बहते ही चले जाते हैं
जैसे बरखा में हो चढ़ता हुआ दरिया कोई

बड़ी मंज़िल हो तो रस्ता भी बड़ा होता है
मुश्किलों का 'सहर' आसाँ नहीं रस्ता कोई

  - Anjali Sahar

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anjali Sahar

As you were reading Shayari by Anjali Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Anjali Sahar

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari