ik dooje ko der se samjha der se yaari ki | इक दूजे को देर से समझा देर से यारी की

  - Anjum Salimi

ik dooje ko der se samjha der se yaari ki
ham dono ne ek mohabbat baari baari ki

khud par hansne waalon mein ham khud bhi shaamil the
ham ne bhi jee bhar kar apni dil-aazaari ki

ik aansu ne dho daali hai dil ki saari mail
ek diye ne kaat ke rakh di gahri taarikee

dil ne khud israar kya ik mumkina hijrat par
ham ne is majboori mein bhi khud-mukhtaari ki

chouda baras ke hijr ko im-shab ruksat karna hai
saara din so so kar jaagne ki tayyaari ki

ham bhi isee duniya ke baasi the so ham ne bhi
duniya waalon se thodi si duniyadari ki

anjum ham ushshaq mein ooncha darja rakhte hain
be-shak ishq ne aisi koi sanad na jaari ki

इक दूजे को देर से समझा देर से यारी की
हम दोनों ने एक मोहब्बत बारी बारी की

ख़ुद पर हँसने वालों में हम ख़ुद भी शामिल थे
हम ने भी जी भर कर अपनी दिल-आज़ारी की

इक आँसू ने धो डाली है दिल की सारी मैल
एक दिए ने काट के रख दी गहरी तारीकी

दिल ने ख़ुद इसरार क्या इक मुमकिना हिजरत पर
हम ने इस मजबूरी में भी ख़ुद-मुख़तारी की

चौदा बरस के हिज्र को इम-शब रुख़्सत करना है
सारा दिन सो सो कर जागने की तय्यारी की

हम भी इसी दुनिया के बासी थे सो हम ने भी
दुनिया वालों से थोड़ी सी दुनिया-दारी की

'अंजुम' हम उश्शाक़ में ऊँचा दर्जा रखते हैं
बे-शक इश्क़ ने ऐसी कोई सनद न जारी की

  - Anjum Salimi

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anjum Salimi

As you were reading Shayari by Anjum Salimi

Similar Writers

our suggestion based on Anjum Salimi

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari