aankhon kii kuchh to nami se darte hain | आँखों की कुछ तो नमी से डरते हैं

  - Ansar Etvi

aankhon kii kuchh to nami se darte hain
yaar aisi zindagi se darte hain

ho na mukhlis vo hai phir kis kaam ka
ham to aisi dosti se darte hain

kaat di hai teergi mein zindagi
ab to akshar raushni se darte hain

jo na jaane daastaan-e-karbala
log vo hi tishnagi se darte hain

is tarah marna to jaiz hai nahin
isliye ham khudkushi se darte hain

jo bhi bacche jee rahe maa ke bina
ek bas maa kii kami se darte hain

आँखों की कुछ तो नमी से डरते हैं
यार ऐसी ज़िंदगी से डरते हैं

हो न मुख़्लिस वो है फिर किस काम का
हम तो ऐसी दोस्ती से डरते हैं

काट दी है तीरगी में ज़िंदगी
अब तो अक्सर रौशनी से डरते हैं

जो न जाने दास्तान-ए-कर्बला
लोग वो ही तिश्नगी से डरते हैं

इस तरह मरना तो जाइज़ है नहीं
इसलिए हम ख़ुदकुशी से डरते हैं

जो भी बच्चे जी रहे माँ के बिना
एक बस माँ की कमी से डरते हैं

  - Ansar Etvi

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Etvi

As you were reading Shayari by Ansar Etvi

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Etvi

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari