kuchh mera to kuchh to tumhaara jaayega
toofan ko jaise hi pukaara jaayega
kashti pe jisne bhi bithakar chhoda hai
haathon se uske bhi kinaara jaayega
haakim hi jab mazloomon ko thukraaye to
aise mein phir kisko pukaara jaayega
jaageer jo masnad ko apni kahte hain
masnad se un sabko utaara jaayega
कुछ मेरा तो कुछ तो तुम्हारा जाएगा
तूफाँ को जैसे ही पुकारा जाएगा
कश्ती पे जिसने भी बिठाकर छोड़ा है
हाथों से उसके भी किनारा जाएगा
हाकिम ही जब मज़लूमों को ठुकराए तो
ऐसे में फिर किसको पुकारा जाएगा
जागीर जो मसनद को अपनी कहते हैं
मसनद से उन सबको उतारा जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ansar Etvi
our suggestion based on Ansar Etvi
As you were reading Kashti Shayari Shayari