ladne ko to hoti nahin lashkar ki zaroorat
ek daur mein kaafi thi bahattar ki zaroorat
jo mere liye hi ho pareshaani ka baa'is
mujhko nahin aise kisi rahbar ki zaroorat
kaafi hai dubaane ke liye ek hi qatra
kisko hai jahaan mein yun samundar ki zaroorat
sheeshe ke makaan unko hi achhe nahin lagte
jinko hai hamesha se hi patthar ki zaroorat
लड़ने को तो होती नहीं लश्कर की ज़रूरत
एक दौर में काफ़ी थी बहत्तर की ज़रूरत
जो मेरे लिए ही हो परेशानी का बाइस
मुझको नहीं ऐसे किसी रहबर की ज़रूरत
काफ़ी है डुबाने के लिए एक ही क़तरा
किसको है जहाँ में यूँ समुंदर की ज़रूरत
शीशे के मकाँ उनको ही अच्छे नहीं लगते
जिनको है हमेशा से ही पत्थर की ज़रूरत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ansar Etvi
our suggestion based on Ansar Etvi
As you were reading Samundar Shayari Shayari