ladta raha jo apne hi andar ke khauf se | लड़ता रहा जो अपने ही अंदर के ख़ौफ़ से - Ansar Etvi

ladta raha jo apne hi andar ke khauf se
vo kya darega ab to bawandar ke khauf se

maujon se lad jhagad ke main saahil pe aa gaya
lekin dara nahin main samundar ke khauf se

ibne ali ne duniya ko paigaam ye diya
peeche kabhi na hatna sitamgar ke khauf se

ho baat jab bhi shaan ki dat kar ke phir lado
darna nahin kabhi kisi lashkar ke khauf se

mushkil hazaar saamne aati hain kaam mein
kya bacche chalna chhod den thokar ke khauf se

leila ki chaah ne use deewaana kar diya
majnu kabhi dara nahin patthar ke khauf se

लड़ता रहा जो अपने ही अंदर के ख़ौफ़ से
वो क्या डरेगा अब तो बवंडर के ख़ौफ़ से

मौजों से लड़ झगड़ के मैं साहिल पे आ गया
लेकिन डरा नहीं मैं समुंदर के ख़ौफ़ से

इब्ने अली ने दुनिया को पैग़ाम ये दिया
पीछे कभी न हटना सितमगर के ख़ौफ़ से

हो बात जब भी शान की डट कर के फिर लड़ो
डरना नहीं कभी किसी लश्कर के ख़ौफ़ से

मुश्किल हज़ार सामने आती हैं काम में
क्या बच्चे चलना छोड़ दें ठोकर के ख़ौफ़ से

लैला की चाह ने उसे दीवाना कर दिया
मजनू कभी डरा नहीं पत्थर के ख़ौफ़ से

- Ansar Etvi
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Etvi

As you were reading Shayari by Ansar Etvi

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Etvi

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari