sacchaai hai ki aise bhi manzar mile mujhe
jab pyaas mit gai to samundar mile mujhe
haathon ko jinke chooma hain apna jise kaha
ik din unhin ke haathon mein khanjar mile mujhe
thokar ke dar se unko hataata chala gaya
sabko laga ki qeemati patthar mile mujhe
pichhli dafa mein pal mein hi naakaam ho gaye
phir is dafa mein saikdon lashkar mile mujhe
सच्चाई है कि ऐसे भी मंज़र मिले मुझे
जब प्यास मिट गई तो समुंदर मिले मुझे
हाथों को जिनके चूमा हैं अपना जिसे कहा
इक दिन उन्हीं के हाथों में ख़ंजर मिले मुझे
ठोकर के डर से उनको हटाता चला गया
सबको लगा कि क़ीमती पत्थर मिले मुझे
पिछली दफ़ा में पल में ही नाकाम हो गए
फिर इस दफ़ा में सैकड़ों लश्कर मिले मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ansar Ethvii
our suggestion based on Ansar Ethvii
As you were reading Nazara Shayari Shayari