yahan bas is zaroorat ke liye rakkha gaya hai
khilone ko sharaarat ke liye rakkha gaya hai
hain jiske ye gul-e-ghuncha masalne ke iraade
usi ko ab hifazat ke liye rakkha gaya hai
ye jo yak-lakht meri raah ke patthar bane hain
inhen meri bagaavat ke liye rakkha gaya hai
यहाँ बस इस ज़रूरत के लिए रक्खा गया है
खिलौने को शरारत के लिए रक्खा गया है
हैं जिसके ये गुल-ए-ग़ुंचा मसलने के इरादे
उसी को अब हिफ़ाज़त के लिए रक्खा गया है
ये जो यक-लख़्त मेरी राह के पत्थर बने हैं
इन्हें मेरी बग़ावत के लिए रक्खा गया है
As you were reading Shayari by Ansar Ethvii
our suggestion based on Ansar Ethvii
As you were reading undefined Shayari