khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur | ख़ुशी की बात और है ग़मों की बात और

  - Anwar Taban

khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur

koi agar jafaa kare nahin hai kuchh gila mujhe
kisi ki baat aur hai tumhaari baat aur

huzoor sun bhi leejie chhod kar ke jaaie
zara si baat aur hai zara si baat aur

qita rubaai aur nazm khoob-tar saheeh magar
ghazal ki baat aur hai ghazal ki baat aur

zabaan se taabaan mat kaho nazar se iltijaa karo
zabaan ki baat aur hai nazar ki baat aur

ख़ुशी की बात और है ग़मों की बात और
तुम्हारी बात और है हमारी बात और

कोई अगर जफ़ा करे नहीं है कुछ गिला मुझे
किसी की बात और है तुम्हारी बात और

हुज़ूर सुन भी लीजिए छोड़ कर के जाइए
ज़रा सी बात और है ज़रा सी बात और

क़ितआ रुबाई और नज़्म ख़ूब-तर सहीह मगर
ग़ज़ल की बात और है ग़ज़ल की बात और

ज़बाँ से 'ताबाँ' मत कहो नज़र से इल्तिजा करो
ज़बाँ की बात और है नज़र की बात और

  - Anwar Taban

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anwar Taban

As you were reading Shayari by Anwar Taban

Similar Writers

our suggestion based on Anwar Taban

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari