na dilbar yaad aata hai na qaateel yaad aata hai
fanse kashti jo toofan mein to saahil yaad aata hai
vo jisne lab mere roke the darwaaze pe chaahat ke
tere hothon ke pahre par jo tha til yaad aata hai
siyaasat ki bhi baate hain usi harjaai ke jaisi
kare taqreer jab vo jaam-e baatil yaad aata hai
mujhe ae umr-e-no barbaad kar daala muhabbat ne
nahin to dil mera sabse tha aqil yaad aata hai
hazaaron baar koshish ki bhulaane ki magar phir bhi
kabhi mujh par tera dil bhi tha maail yaad aata hai
gaya jo chhod kar mujhko khuda ki maslahat hogi
hayaat-e-bazm ka vo hi tha haasil yaad aata hai
bigadte haal ke aage bikhrti kab thi yah qismat
vo saaya maa ka tha gham ke muqaabil yaad aata hai
ye kehna tha mere abboo ka gar himmat na haaroge
to ho jaayegi sab aasaan mushkil yaad aata hai
faqat hai waqt ka khel duniya se juda hai jo
kabhi ham bhi kisi ke the yah saahil!yaad aata hai
न दिलबर याद आता है, न क़ातिल याद आता है
फँसे कश्ती जो तूफ़ाँ में तो साहिल याद आता है
वो जिसने लब मेरे रोके थे, दरवाज़े पे चाहत के
तेरे होठों के पहरे पर जो था तिल, याद आता है
सियासत की भी बाते हैं उसी हरजाई के जैसी
करे तक़रीर जब वो, जाम-ए -बातिल याद आता है
मुझे ए उम्र-ए-नो, बरबाद कर डाला मुहब्बत ने
नहीं तो दिल मेरा सबसे था आक़िल, याद आता है
हज़ारों बार कोशिश की भूलाने की, मगर फिर भी
कभी मुझ पर तेरा दिल भी था माइल, याद आता है
गया जो छोड़ कर मुझको, ख़ुदा की मसलहत होगी
हयात-ए-बज़्म का वो ही था हासिल, याद आता है
बिगड़ते हाल के आगे बिखरती कब थी यह क़िस्मत
वो साया माँ का था ग़म के मुक़ाबिल, याद आता है
ये कहना था मेरे अब्बू का, गर हिम्मत न हारोगे
तो हो जायेगी सब आसान, मुश्किल याद आता है
फ़क़त है वक़्त का खेल, दुनिया से जुदा है जो
कभी हम भी किसी के थे, यह साहिल!याद आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Politics Shayari Shayari