fenk de ai dost ab bhi fenk de apna rubaab | फेंक दे ऐ दोस्त अब भी फेंक दे अपना रुबाब - Asrar Ul Haq Majaz

fenk de ai dost ab bhi fenk de apna rubaab
uthne hi waala hai koi dam mein shor-e-inqlaab
aa rahe hain jang ke baadal vo mandalaate hue
aag daaman mein chhupaaye khoon barsaate hue
koh-o-sehra mein zameen se khoon ubalega abhi
rang ke badle gulon se khoon tapkega abhi
badh rahe hain dekh vo mazdoor darraate hue
ik junoon-angez lay mein jaane kya gaate hue
sar-kashi ki tund aandhi dam-b-dam chadhti hui
har taraf yalghaar karti har taraf badhti hui
bhook ke maare hue insaan ki fariyadon ke saath
faqaa-maston ke jilau mein khaana-barbaadon ke saath
khatm ho jaayega ye sarmaaya-daari ka nizaam
rang laane ko hai mazdooron ka josh-e-intiqaam
gir padenge khauf se aivaan-e-ishrat ke sutoon
khoon ban jaayegi sheeshon mein sharaab-e-laala-goon
khoon ki boo le ke jungle se hawaaein aayengi
khun hi khun hoga nigaahen jis taraf bhi jaayengi
jhopdon mein khun mahal mein khun shabistaanon mein khun
dasht mein khun vaadiyon mein khun biyaabaanon mein khun
pur-sukoon sehra mein khun betaab daryaon mein khun
dair mein khun masjid mein khun kaleesaon mein khun
khoon ke dariya nazar aayenge har maidaan mein
doob jaayengi chataanen khoon ke toofaan mein
khoon ki rangeeniyon mein doob jaayegi bahaar
reg-e-sehra par nazar aayenge laakhon laala-zaar
khoon se rangeen faza-e-bostaan ho jaayegi
nargis-e-makhmoor chashm-e-khun-fishan ho jaayegi
kohsaaron ki taraf se surkh-aandhi aayegi

फेंक दे ऐ दोस्त अब भी फेंक दे अपना रुबाब
उठने ही वाला है कोई दम में शोर-ए-इंक़लाब
आ रहे हैं जंग के बादल वो मंडलाते हुए
आग दामन में छुपाए ख़ून बरसाते हुए
कोह-ओ-सहरा में ज़मीं से ख़ून उबलेगा अभी
रंग के बदले गुलों से ख़ून टपकेगा अभी
बढ़ रहे हैं देख वो मज़दूर दर्राते हुए
इक जुनूँ-अंगेज़ लय में जाने क्या गाते हुए
सर-कशी की तुंद आँधी दम-ब-दम चढ़ती हुई
हर तरफ़ यलग़ार करती हर तरफ़ बढ़ती हुई
भूक के मारे हुए इंसाँ की फ़रियादों के साथ
फ़ाक़ा-मस्तों के जिलौ में ख़ाना-बर्बादों के साथ
ख़त्म हो जाएगा ये सरमाया-दारी का निज़ाम
रंग लाने को है मज़दूरों का जोश-ए-इंतिक़ाम
गिर पड़ेंगे ख़ौफ़ से ऐवान-ए-इशरत के सुतूँ
ख़ून बन जाएगी शीशों में शराब-ए-लाला-गूँ
ख़ून की बू ले के जंगल से हवाएँ आएँगी
ख़ूँ ही ख़ूँ होगा निगाहें जिस तरफ़ भी जाएँगी
झोंपड़ों में ख़ूँ, महल में ख़ूँ, शबिस्तानों में ख़ूँ
दश्त में ख़ूँ, वादियों में ख़ूँ, बयाबानों में ख़ूँ
पुर-सुकूँ सहरा में ख़ूँ, बेताब दरियाओं में ख़ूँ
दैर में ख़ूँ, मस्जिद में ख़ूँ, कलीसाओं में ख़ूँ
ख़ून के दरिया नज़र आएँगे हर मैदान में
डूब जाएँगी चटानें ख़ून के तूफ़ान में
ख़ून की रंगीनियों में डूब जाएगी बहार
रेग-ए-सहरा पर नज़र आएँगे लाखों लाला-ज़ार
ख़ून से रंगीं फ़ज़ा-ए-बोस्ताँ हो जाएगी
नर्गिस-ए-मख़मूर चश्म-ए-ख़ूँ-फ़िशाँ हो जाएगी
कोहसारों की तरफ़ से ''सुर्ख़-आंधी'' आएगी

- Asrar Ul Haq Majaz
3 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Asrar Ul Haq Majaz

As you were reading Shayari by Asrar Ul Haq Majaz

Similar Writers

our suggestion based on Asrar Ul Haq Majaz

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari