dil se malb-e-ishq hata yaaron kuch yaad banaani hai | दिल से मलब-ए-इश्क़ हटा यारों कुछ याद बनानी है - Aves Sayyad

dil se malb-e-ishq hata yaaron kuch yaad banaani hai
ek imarat mujh ko hijr ki uske baad banaani hai

kyun roka hai baandh bana kar dariya ki baatein samjho
bahne do ye ashk abhi aankhen naashaad banaani hai

saagar se ab chaaragar tu aisi ik tarteeb bana
toofaanon ko kashti mein la zeest aabaad banaani hai

nange paanv use tu bhaage qaid qafas mein karne phir
ik tasveer kabootar ki aisi sayyaad banaani hai

uski aankh musavvir khwaabon se bharni hai aur suno
uski ye zulfen sab rango se azaad banaani hai

dekh abhi khoon-sinchaai karne hai un ke kheton ki
aur abhi to jism gala kar sayyad khaad banaani hai

दिल से मलब-ए-इश्क़ हटा यारों कुछ याद बनानी है
एक इमारत मुझ को हिज्र की उसके बाद बनानी है

क्यों रोका है बाँध बना कर दरिया की बातें समझो
बहने दो ये अश्क अभी आँखें नाशाद बनानी है

सागर से अब चारागर तू ऐसी इक तरतीब बना
तूफ़ानों को कश्ती में ला ज़ीस्त आबाद बनानी है

नंगे पाँव उसे तू भागे क़ैद क़फ़स में करने फिर
इक तस्वीर कबूतर की ऐसी सय्याद बनानी है

उसकी आँख मुसव्विर ख़्वाबों से भरनी है और सुनो
उसकी ये ज़ुल्फ़ें सब रंगो से आज़ाद बनानी है

देख अभी खून-सिंचाई करनी है उन के खेतों की
और अभी तो जिस्म गला कर सय्यद खाद बनानी है

- Aves Sayyad
6 Likes

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari