asiraan-e-hawaadis ki giraa-jaani nahin jaati
jahaan se khoon-e-insaani ki arzaani nahin jaati
darogh-e-maslahat ke dekh kar aasaar chehron par
haqeeqat-aashnaa aankhon ki hairaani nahin jaati
nishaan-e-khusrawi to mit gaye hain lauh-e-aalam se
kulaah-e-khusrawi se boo-e-sultaani nahin jaati
andhera is qadar hai shehar par chaaya siyaasat ka
kisi bhi shakhs ki ab shakl pahchaani nahin jaati
zamaana karbala ka naam sun kar kaanp uthata hai
abhi tak khoon-e-shabbeeri ki jaulaani nahin jaati
fuzoon-tar aur hote ja rahe hain chaak daaman ke
rafoo-gar se hamaari chaak-damaani nahin jaati
ye maana raushni ko pee gai zulmat jihaalat ki
magar is zarra-e-khaaki ki tabaani nahin jaati
असीरान-ए-हवादिस की गिराँ-जानी नहीं जाती
जहाँ से ख़ून-ए-इंसानी की अर्ज़ानी नहीं जाती
दरोग़-ए-मस्लहत के देख कर आसार चेहरों पर
हक़ीक़त-आश्ना आँखों की हैरानी नहीं जाती
निशान-ए-ख़ुसरवी तो मिट गए हैं लौह-ए-आलम से
कुलाह-ए-ख़ुसरवी से बू-ए-सुल्तानी नहीं जाती
अंधेरा इस क़दर है शहर पर छाया सियासत का
किसी भी शख़्स की अब शक्ल पहचानी नहीं जाती
ज़माना कर्बला का नाम सुन कर काँप उठता है
अभी तक ख़ून-ए-शब्बीरी की जौलानी नहीं जाती
फ़ुज़ूँ-तर और होते जा रहे हैं चाक दामन के
रफ़ू-गर से हमारी चाक-दामानी नहीं जाती
ये माना रौशनी को पी गई ज़ुल्मत जिहालत की
मगर इस ज़र्रा-ए-ख़ाकी की ताबानी नहीं जाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Duniya Shayari Shayari