ataak-e-shab mein sehar ke charaagh raushan kar
qaba-e-dil hi nahin dil ke daagh raushan kar
kisi tariq se taaza hawa girift mein la
kisi sabeel se apna dimaagh raushan kar
mashaam-e-jaan mein basa khair-o-amn ki khushboo
phir is mahak se mohabbat ke baagh raushan kar
chhidak ke khoon rag-e-dil haqeer zarroon par
sawaad-e-manzil-e-jaan ke suraagh raushan kar
saleeb utha ke kabhi koocha-e-sitam mein bhi chal
junoon ki lau se bhi dasht-e-charaagh raushan kar
rah-e-hayaat mein wahm-o-gumaan ke saaye hain
nazar mein azm-o-yaqeen ke ayaagh raushan kar
kabhi taqaddus-e-insaan ke tu geet bhi ga
kabhi to dil mein mohabbat ki aag raushan kar
अताक़-ए-शब में सहर के चराग़ रौशन कर
क़बा-ए-दिल ही नहीं दिल के दाग़ रौशन कर
किसी तरीक़ से ताज़ा हवा गिरफ़्त में ला
किसी सबील से अपना दिमाग़ रौशन कर
मशाम-ए-जाँ में बसा ख़ैर-ओ-अम्न की ख़ुशबू
फिर इस महक से मोहब्बत के बाग़ रौशन कर
छिड़क के ख़ून रग-ए-दिल हक़ीर ज़र्रों पर
सवाद-ए-मंज़िल-ए-जाँ के सुराग़ रौशन कर
सलीब उठा के कभी कूचा-ए-सितम में भी चल
जुनूँ की लौ से भी दश्त-ए-चराग़ रौशन कर
रह-ए-हयात में वहम-ओ-गुमाँ के साए हैं
नज़र में अज़्म-ओ-यक़ीं के अयाग़ रौशन कर
कभी तक़द्दुस-ए-इंसान के तू गीत भी गा
कभी तो दिल में मोहब्बत की आग रौशन कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Chehra Shayari Shayari