banti nahin baat to phir baat kya karein
bigde hue hain shehar ke haalaat kya karein
aati nahin girift mein saanson ki doriyaan
hain gardish-e-mudaam mein din-raat kya karein
lafzon ki ek fauj hai apni kamaan mein
munh mein nahin zabaan to maqaalaat kya karein
toota ta'alluqaat ka har ek silsila
thande pade hain vasl ke jazbaat kya karein
ai dost chaara-saazi-e-chaara-garaan na pooch
bad-tar hue hain aur bhi haalaat kya karein
aish-o-tarab ki mahfilein un ka naseeb hain
ham ko mile hain dard ke naghmaat kya karein
बनती नहीं बात तो फिर बात क्या करें
बिगड़े हुए हैं शहर के हालात क्या करें
आती नहीं गिरफ़्त में साँसों की डोरियाँ
हैं गर्दिश-ए-मुदाम में दिन-रात क्या करें
लफ़्ज़ों की एक फ़ौज है अपनी कमान में
मुँह में नहीं ज़बाँ तो मक़ालात क्या करें
टूटा तअ'ल्लुक़ात का हर एक सिलसिला
ठंडे पड़े हैं वस्ल के जज़्बात क्या करें
ऐ दोस्त चारा-साज़ी-ए-चारा-गराँ न पूछ
बद-तर हुए हैं और भी हालात क्या करें
ऐश-ओ-तरब की महफ़िलें उन का नसीब हैं
हम को मिले हैं दर्द के नग़्मात क्या करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Aah Shayari Shayari