deeda-e-be-rang mein khoon-rang manzar rakh diye | दीदा-ए-बे-रंग में ख़ूँ-रंग मंज़र रख दिए

  - Bakhsh Layalpuri

deeda-e-be-rang mein khoon-rang manzar rakh diye
ham ne is dasht-e-tapaan mein bhi samundar rakh diye

vo jagah jo laal-o-gohar ke liye maqsood thi
kis ne ye sang-e-malaamat us jagah par rakh diye

ab kisi ki cheekh kya ubhre ki meer-e-shahr ne
saakinaan-e-shahr ke seenon pe patthar rakh diye

shaakh-saaron par na jab izn-e-nasheman mil saka
ham ne apne aashiyaan dosh-e-hawa par rakh diye

ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazu mein suhan-var rakh diye

ham to abresham ki soorat narm-o-naazuk the magar
talkhi-e-haalat ne lehje mein khanjar rakh diye

jis hawa ko vo samjhte the ki chal sakti nahin
us hawa ne kaat kar lashkar ke lashkar rakh diye

bakhsh sayyaad-e-azal ne hukm-e-aazaadi ke saath
aur aseeri ke bhi khadishe dal ke andar rakh diye

दीदा-ए-बे-रंग में ख़ूँ-रंग मंज़र रख दिए
हम ने इस दश्त-ए-तपाँ में भी समुंदर रख दिए

वो जगह जो लाल-ओ-गौहर के लिए मक़्सूद थी
किस ने ये संग-ए-मलामत उस जगह पर रख दिए

अब किसी की चीख़ क्या उभरे कि मीर-ए-शहर ने
साकिनान-ए-शहर के सीनों पे पत्थर रख दिए

शाख़-सारों पर न जब इज़्न-ए-नशेमन मिल सका
हम ने अपने आशियाँ दोश-ए-हवा पर रख दिए

अहल-ए-ज़र ने देख कर कम-ज़र्फ़ी-ए-अहल-ए-क़लम
हिर्स-ए-ज़र के हर तराज़ू में सुख़न-वर रख दिए

हम तो अबरेशम की सूरत नर्म-ओ-नाज़ुक थे मगर
तल्ख़ी-ए-हालात ने लहजे में ख़ंजर रख दिए

जिस हवा को वो समझते थे कि चल सकती नहीं
उस हवा ने काट कर लश्कर के लश्कर रख दिए

'बख़्श' सय्याद-ए-अज़ल ने हुक्म-ए-आज़ादी के साथ
और असीरी के भी ख़दशे दल के अंदर रख दिए

  - Bakhsh Layalpuri

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari