jahaan-e-jubba-o-dastaar ki himayat kya
yazid-e-waqt hai kya aur us ki bai'at kya
munaafiqana ravish aam hoti jaati hai
naqaab-poshi-e-ahbaab ki shikaayat kya
kisi bhi shakhs ko ab harf-e-haq ka paas nahin
panap raha hai yahan par darogh-e-hikmat kya
mujaaviraan-e-jahaalat ke baala-khaanon mein
sukhan-taraazi-e-ilm-o-adab ki qeemat kya
maza to jab hai ki rang-e-sukhan ho vajh-e-numood
jo ishtehaar ki muhtaaj ho vo shohrat kya
mere rafeeq farogh-e-junoon ke aalam mein
hai chaak chaak garebaan to is pe hairat kya
jo mil raha hai tumhein gair ki inaayat se
yahi hai saans to is saans ki hai qeemat kya
zabaan bhi ek zameen bhi hai ek rang bhi ek
to phir miyaan man-o-too ki ye ajnabbiyyat kya
jhapat rahe hain sabhi seem-o-zar ke lukmon par
hawas-giri hai faqat mansab-e-wazaarat kya
siyaah daagh hain ye raushni ke chehre par
mureed-e-jehal hai kya pesha-e-tareeqat kya
azal se bakhsh rah-e-pur-khatr se guzre hain
jafa-shanasi-e-ahbaab ki shikaayat kya
जहान-ए-जुब्बा-ओ-दस्तार की हिमायत क्या
यज़ीद-ए-वक़्त है क्या और उस की बै'अत क्या
मुनाफ़िक़ाना रविश आम होती जाती है
नक़ाब-पोशी-ए-अहबाब की शिकायत क्या
किसी भी शख़्स को अब हर्फ़-ए-हक़ का पास नहीं
पनप रहा है यहाँ पर दरोग़-ए-हिकमत क्या
मुजाविरान-ए-जहालत के बाला-ख़ानों में
सुख़न-तराज़ि-ए-इल्म-ओ-अदब की क़ीमत क्या
मज़ा तो जब है कि रंग-ए-सुख़न हो वज्ह-ए-नुमूद
जो इश्तिहार की मुहताज हो वो शोहरत क्या
मिरे रफ़ीक़ फ़रोग़-ए-जुनूँ के आलम में
है चाक चाक गरेबाँ तो इस पे हैरत क्या
जो मिल रहा है तुम्हें ग़ैर की इनायत से
यही है साँस तो इस साँस की है क़ीमत क्या
ज़बाँ भी एक ज़मीं भी है एक रंग भी एक
तो फिर मियाँ मन-ओ-तू की ये अज्नबिय्यत क्या
झपट रहे हैं सभी सीम-ओ-ज़र के लुक़्मों पर
हवस-गिरी है फ़क़त मंसब-ए-वज़ारत क्या
सियाह दाग़ हैं ये रौशनी के चेहरे पर
मुरीद-ए-जेहल है क्या पेशा-ए-तरीक़त क्या
अज़ल से 'बख़्श' रह-ए-पुर-ख़तर से गुज़रे हैं
जफ़ा-शनासि-ए-अहबाब की शिकायत क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Raushni Shayari Shayari