jo pee raha hai sada khoon be-gunaahon ka
vo shakhs to hai numainda kaj-kulaahon ka
jise bhi chaaha saleeb-e-sitam pe kheench diya
faqih-e-shahr to qaail nahin gawaahon. ka
ham ahl-e-dil hain sadaqat hamaara sheva hai
hamein dara na sakega jalaal shahon ka
har ek qadr ko ruswaaiyaan miliin in se
ajeeb sa raha kirdaar-e-deen panahon ka
meri zameen ko maqbooza tu zameen na samajh
ki tootne ko hai afsoon tiri sipaahon ka
abhi to azm-e-safar bhi kiya na tha ham ne
ki jaag utha har ik zarra shaah-raahon ka
जो पी रहा है सदा ख़ून बे-गुनाहों का
वो शख़्स तो है नुमाइंदा कज-कुलाहों का
जिसे भी चाहा सलीब-ए-सितम पे खींच दिया
फ़क़ीह-ए-शहर तो क़ाइल नहीं गवाहों का
हम अहल-ए-दिल हैं सदाक़त हमारा शेवा है
हमें डरा न सकेगा जलाल शाहों का
हर एक क़द्र को रुस्वाइयाँ मिलीं इन से
अजीब सा रहा किरदार-ए-दीं पनाहों का
मिरी ज़मीन को मक़बूज़ा तू ज़मीं न समझ
कि टूटने को है अफ़्सूँ तिरी सिपाहों का
अभी तो अज़्म-ए-सफ़र भी किया न था हम ने
कि जाग उट्ठा हर इक ज़र्रा शाह-राहों का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Charagh Shayari Shayari