kabhi aankhon pe kabhi sar pe bithaaye rakhna
zindagi talkh sahi dil se lagaaye rakhna
lafz to lafz hain kaaghaz se bhi khushboo phoote
safha-e-waqt pe vo phool khilaaye rakhna
chaand kya cheez hai suraj bhi ubhar aayega
zulmat-e-shab mein lahu dil ka jalaae rakhna
hurmat-e-harf pe ilzaam na aane paaye
sukhan-e-haq ko sar-e-daar sajaaye rakhna
farsh to farsh falak par bhi sunaai dega
meri awaaz mein awaaz milaaye rakhna
kabhi vo yaad bhi aaye to malaamat karna
kabhi us shokh ki tasveer banaaye rakhna
bakhsh seekha hai shaheedaan-e-wafaa se ham ne
haath kat jaayen alam munh se uthaaye rakhna
कभी आँखों पे कभी सर पे बिठाए रखना
ज़िंदगी तल्ख़ सही दिल से लगाए रखना
लफ़्ज़ तो लफ़्ज़ हैं काग़ज़ से भी ख़ुश्बू फूटे
सफ़हा-ए-वक़्त पे वो फूल खिलाए रखना
चाँद क्या चीज़ है सूरज भी उभर आएगा
ज़ुल्मत-ए-शब में लहू दिल का जलाए रखना
हुर्मत-ए-हर्फ़ पे इल्ज़ाम न आने पाए
सुख़न-ए-हक़ को सर-ए-दार सजाए रखना
फ़र्श तो फ़र्श फ़लक पर भी सुनाई देगा
मेरी आवाज़ में आवाज़ मिलाए रखना
कभी वो याद भी आए तो मलामत करना
कभी उस शोख़ की तस्वीर बनाए रखना
'बख़्श' सीखा है शहीदान-ए-वफ़ा से हम ने
हाथ कट जाएँ अलम मुँह से उठाए रखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Eid Shayari Shayari