koi shay dil ko bahlaati nahin hai | कोई शय दिल को बहलाती नहीं है

  - Bakhsh Layalpuri

koi shay dil ko bahlaati nahin hai
pareshaani ki rut jaati nahin hai

hamaare khwaab chori ho gaye hain
hamein raaton ko neend aati nahin hai

koi titli kamaan-daaron ke dar se
fazaa mein pankh failaati nahin hai

har ik soorat hamein bhaati nahin hai
koi soorat hamein bhaati nahin hai

jis aazaadi ke nagme hain zabaan par
vo aazaadi nazar aati nahin hai

badan be-harkat-o-be-his pade hain
lahu ki boond garamaati nahin hai

musalsal posh ki chaabuk-zani se
meri aashuftagi jaati nahin hai

zawaal-e-fikr-o-fan ki bakhsh tohmat
jalaal-e-harf par aati nahin hai

कोई शय दिल को बहलाती नहीं है
परेशानी की रुत जाती नहीं है

हमारे ख़्वाब चोरी हो गए हैं
हमें रातों को नींद आती नहीं है

कोई तितली कमाँ-दारों के डर से
फ़ज़ा में पँख फैलाती नहीं है

हर इक सूरत हमें भाती नहीं है
कोई सूरत हमें भाती नहीं है

जिस आज़ादी के नग़्मे हैं ज़बाँ पर
वो आज़ादी नज़र आती नहीं है

बदन बे-हरकत-ओ-बे-हिस पड़े हैं
लहू की बूँद गरमाती नहीं है

मुसलसल पोश की चाबुक-ज़नी से
मिरी आशुफ़्तगी जाती नहीं है

ज़वाल-ए-फ़िक्र-ओ-फ़न की 'बख़्श' तोहमत
जलाल-ए-हर्फ़ पर आती नहीं है

  - Bakhsh Layalpuri

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari