mere har lafz ki tauqeer rahne ke liye hai | मिरे हर लफ़्ज़ की तौक़ीर रहने के लिए है

  - Bakhsh Layalpuri

mere har lafz ki tauqeer rahne ke liye hai
main vo zinda hoon meri tahreer rahne ke liye hai

sitam-gar ne jo pahnaai mere dast-e-talab mein
ye mat samjho ki vo zanjeer rahne ke liye hai

mera aaina-e-tasneef deta hai gawaahi
mera har nuqta-e-tafseer rahne ke liye hai

rahega to na tera zulm par roz-e-abad tak
hamaare dard ki jaageer rahne ke liye hai

jise meer nigaahon ne kabhi dekha nahin hai
mere dil mein wahi tasveer rahne ke liye hai

sar-e-baatil kiya do-lakht jis ne bhi jahaan mein
salaamat bas wahi shamsheer rahne ke liye hai

junoon-e-shauq takhreeb-e-jahaan mit kar rahega
magar har jazba-e-ta'meer rahne ke liye hai

na likkha she'r koi aur samajh baithe hain naadaan
adab mein harb-e-tashheer rahne ke liye hai

guzar jaayenge ham daar-e-fanaa se bakhsh lekin
hamaare shehar ki taaseer rahne ke liye hai

मिरे हर लफ़्ज़ की तौक़ीर रहने के लिए है
मैं वो ज़िंदा हूँ मिरी तहरीर रहने के लिए है

सितम-गर ने जो पहनाई मिरे दस्त-ए-तलब में
ये मत समझो कि वो ज़ंजीर रहने के लिए है

मिरा आईना-ए-तसनीफ़ देता है गवाही
मिरा हर नुक़्ता-ए-तफ़सीर रहने के लिए है

रहेगा तो न तेरा ज़ुल्म पर रोज़-ए-अबद तक
हमारे दर्द की जागीर रहने के लिए है

जिसे मीर निगाहों ने कभी देखा नहीं है
मिरे दिल में वही तस्वीर रहने के लिए है

सर-ए-बातिल किया दो-लख़्त जिस ने भी जहाँ में
सलामत बस वही शमशीर रहने के लिए है

जुनून-ए-शौक़ तख़रीब-ए-जहाँ मिट कर रहेगा
मगर हर जज़्बा-ए-ता'मीर रहने के लिए है

न लिक्खा शे'र कोई और समझ बैठे हैं नादाँ
अदब में हर्बा-ए-तश्हीर रहने के लिए है

गुज़र जाएँगे हम दार-ए-फ़ना से 'बख़्श' लेकिन
हमारे शहर की तासीर रहने के लिए है

  - Bakhsh Layalpuri

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari