pade hain raah mein jo log be-sabab kab se | पड़े हैं राह में जो लोग बे-सबब कब से

  - Bakhsh Layalpuri

pade hain raah mein jo log be-sabab kab se
pukaarti hai unhen manzil-e-talab kab se

ye aur baat makeenon ko kuchh khabar na hui
laga rahe the muhaafiz magar naqab kab se

koi bhi harb-e-tashheer kaargar na hua
tamaashbeen hi rahi shohrat-e-adab kab se

ukhad gai hain tanaabein sitam ke khemo'n ki
ult gai hai bisaat-e-hasb-nasb kab se

na hausla hai dua ka na aah par hai yaqeen
ki ham se rooth gaya hai hamaara rab kab se

samundron se koi mauj-e-sar-buland uthe
ki sahilon pe tadpate hain jaan-b-lab kab se

vo ham ne chun diye tanqeed ki saleebo par
machal rahe the jo kuchh harf zer-e-lab kab se

पड़े हैं राह में जो लोग बे-सबब कब से
पुकारती है उन्हें मंज़िल-ए-तलब कब से

ये और बात मकीनों को कुछ ख़बर न हुई
लगा रहे थे मुहाफ़िज़ मगर नक़ब कब से

कोई भी हर्बा-ए-तश्हीर कारगर न हुआ
तमाशबीं ही रही शोहरत-ए-अदब कब से

उखड़ गई हैं तनाबें सितम के ख़ेमों की
उलट गई है बिसात-ए-हसब-नसब कब से

न हौसला है दुआ का न आह पर है यक़ीं
कि हम से रूठ गया है हमारा रब कब से

समुंदरों से कोई मौज-ए-सर-बुलंद उठे
कि साहिलों पे तड़पते हैं जाँ-ब-लब कब से

वो हम ने चुन दिए तन्क़ीद की सलीबों पर
मचल रहे थे जो कुछ हर्फ़ ज़ेर-ए-लब कब से

  - Bakhsh Layalpuri

Tanz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Tanz Shayari Shayari