qaateel hua khamosh to talwaar bol uthi | क़ातिल हुआ ख़मोश तो तलवार बोल उठी

  - Bakhsh Layalpuri

qaateel hua khamosh to talwaar bol uthi
maqtal mein khoon-e-garm ki har dhaar bol uthi

poocha subuk saroon ka numainda kaun hai
sun kar faqih-e-shahr ki dastaar bol uthi

ahl-e-sitam ke khauf se jo chup thi vo zabaan
jab bolne pe aayi sar-e-daar bol uthi

meri tabaahiyon ki hai is mein khabar zaroor
az khud har ek surkhi-e-akhbaar bol uthi

chehra tha zakham zakham koi poochta na tha
yusuf bane to garmi-e-baazaar bol uthi

ik nakhuda hi yoorish-e-toofan pe chup raha
chappu kabhi to aur kabhi patwaar bol uthi

kuchh is tarah se naqsh the eenton pe saanche ke
zindaan mein mujh ko dekh ke deewaar bol uthi

क़ातिल हुआ ख़मोश तो तलवार बोल उठी
मक़्तल में ख़ून-ए-गर्म की हर धार बोल उठी

पूछा सुबुक सरों का नुमाइंदा कौन है
सुन कर फ़क़ीह-ए-शहर की दस्तार बोल उठी

अहल-ए-सितम के ख़ौफ़ से जो चुप थी वो ज़बाँ
जब बोलने पे आई सर-ए-दार बोल उठी

मेरी तबाहियों की है इस में ख़बर ज़रूर
अज़ ख़ुद हर एक सुर्ख़ी-ए-अख़बार बोल उठी

चेहरा था ज़ख़्म ज़ख़्म कोई पूछता न था
यूसुफ़ बने तो गर्मी-ए-बाज़ार बोल उठी

इक नाख़ुदा ही यूरिश-ए-तूफ़ाँ पे चुप रहा
चप्पू कभी तो और कभी पतवार बोल उठी

कुछ इस तरह से नक़्श थे ईंटों पे साँचे के
ज़िंदाँ में मुझ को देख के दीवार बोल उठी

  - Bakhsh Layalpuri

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari