rukh-e-hayaat hai sharminda-e-jamaal bahut | रुख़-ए-हयात है शर्मिंदा-ए-जमाल बहुत

  - Bakhsh Layalpuri

rukh-e-hayaat hai sharminda-e-jamaal bahut
jamee hui hai abhi gard-e-maah-o-saal bahut

gurez-paa hai jo mujh se tira visaal to kya
mera junoon bhi hai aamada-e-zawaal bahut

mujhe har aan ye deta hai vasl ki lazzat
wafa-shanaas hai tujh se tira khayal bahut

kitaab-e-zeest ke har ik varq pe raushan hain
ye teri farda-nigaahi ke khud-o-khaal bahut

palat gaye jo parinde to phir gila kya hai
har ek shaakh-e-shajar par biche hain jaal bahut

tumhein hai naaz agar apne husn-e-sarkash par
to mera ishq bhi hai roo-kash-e-jamaal bahut

azaan-e-subh ki har lay ki taar toot gaye
farogh-e-zulmat-e-shab ka hai ye kamaal bahut

kisi bhi pyaas ke maare ki pyaas bujh na saki
samundron mein to aate rahe uchaal bahut

रुख़-ए-हयात है शर्मिंदा-ए-जमाल बहुत
जमी हुई है अभी गर्द-ए-माह-ओ-साल बहुत

गुरेज़-पा है जो मुझ से तिरा विसाल तो क्या
मिरा जुनूँ भी है आमादा-ए-ज़वाल बहुत

मुझे हर आन ये देता है वस्ल की लज़्ज़त
वफ़ा-शनास है तुझ से तिरा ख़याल बहुत

किताब-ए-ज़ीस्त के हर इक वरक़ पे रौशन हैं
ये तेरी फ़र्दा-निगाही के ख़द-ओ-ख़ाल बहुत

पलट गए जो परिंदे तो फिर गिला क्या है
हर एक शाख़-ए-शजर पर बिछे हैं जाल बहुत

तुम्हें है नाज़ अगर अपने हुस्न-ए-सरकश पर
तो मेरा इश्क़ भी है रू-कश-ए-जमाल बहुत

अज़ान-ए-सुब्ह की हर लय की तार टूट गए
फ़रोग़-ए-ज़ुल्मत-ए-शब का है ये कमाल बहुत

किसी भी प्यास के मारे की प्यास बुझ न सकी
समुंदरों में तो आते रहे उछाल बहुत

  - Bakhsh Layalpuri

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari