rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai | रुत न बदले तो भी अफ़्सुर्दा शजर लगता है

  - Bakhsh Layalpuri

rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai
aur mausam ke taghayyur se bhi dar lagta hai

dard-e-hijrat ke sataaye hue logon ko kahi
saaya-e-dar bhi nazar aaye to ghar lagta hai

ek saahil hi tha girdaab-shanaasa pehle
ab to har dil ke safeene mein bhanwar lagta hai

bazm-e-shaahi mein wahi log sar-afraaz hue
jin ke kaandhon pe hamein mom ka sar lagta hai

kha liya hai to use dost ugalte kyun ho
aise pedon pe to aisa hi samar lagta hai

ajnabbiyyat ka vo aalam hai ki har aan yahan
apna ghar bhi hamein aghyaar ka ghar lagta hai

shab ki saazish ne ujaalon ka gala ghoont diya
zulmat-aabaad sa ab noor-e-sehar lagta hai

manzil-e-sakht se ham yun to nikal aaye hain
aur jo baaki hai qayamat ka safar lagta hai

ghar bhi veeraana lage taaza hawaon ke baghair
baad-e-khush-rang chale dasht bhi ghar lagta hai

रुत न बदले तो भी अफ़्सुर्दा शजर लगता है
और मौसम के तग़य्युर से भी डर लगता है

दर्द-ए-हिजरत के सताए हुए लोगों को कहीं
साया-ए-दर भी नज़र आए तो घर लगता है

एक साहिल ही था गिर्दाब-शनासा पहले
अब तो हर दिल के सफ़ीने में भँवर लगता है

बज़्म-ए-शाही में वही लोग सर-अफ़राज़ हुए
जिन के काँधों पे हमें मोम का सर लगता है

खा लिया है तो उसे दोस्त उगलते क्यूँ हो
ऐसे पेड़ों पे तो ऐसा ही समर लगता है

अज्नबिय्यत का वो आलम है कि हर आन यहाँ
अपना घर भी हमें अग़्यार का घर लगता है

शब की साज़िश ने उजालों का गला घूँट दिया
ज़ुल्मत-आबाद सा अब नूर-ए-सहर लगता है

मंज़िल-ए-सख़्त से हम यूँ तो निकल आए हैं
और जो बाक़ी है क़यामत का सफ़र लगता है

घर भी वीराना लगे ताज़ा हवाओं के बग़ैर
बाद-ए-ख़ुश-रंग चले दश्त भी घर लगता है

  - Bakhsh Layalpuri

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari