safha-e-qirtaas par khush-rang tahreeren nahin | सफ़हा-ए-क़िर्तास पर ख़ुश-रंग तहरीरें नहीं

  - Bakhsh Layalpuri

safha-e-qirtaas par khush-rang tahreeren nahin
apne qabze mein abhi lafzon ki jaageerain nahin

zindagi ham ne guzaari ek bewa ki tarah
khwaab vo dekhe ki jin ki koi ta'beeraain nahin

jee rahe hain shehar mein sab log andeshon ke saath
ik tire hi paanv mein sochon ki zanjeeren nahin

aur uchhalenge adab ke maskharon ke sar yahan
zang-aalooda abhi sher'on ki shamshirein nahin

maange taange par guzaara kar rahe hain dosto
zindagi karne ki apne paas tadbeerein nahin

cheekh ki soorat hayaat-e-nau ka ik paighaam hain
ham hawa ki lauh par be-jaan tasveerein nahin

sar jhuka kar zulm sahna bhi saraasar zulm hai
bakhsh warna zulm ki kuchh aur tafseerein nahin

सफ़हा-ए-क़िर्तास पर ख़ुश-रंग तहरीरें नहीं
अपने क़ब्ज़े में अभी लफ़्ज़ों की जागीरें नहीं

ज़िंदगी हम ने गुज़ारी एक बेवा की तरह
ख़्वाब वो देखे कि जिन की कोई ता'बीरें नहीं

जी रहे हैं शहर में सब लोग अंदेशों के साथ
इक तिरे ही पाँव में सोचों की ज़ंजीरें नहीं

और उछलेंगे अदब के मस्ख़रों के सर यहाँ
ज़ंग-आलूदा अभी शे'रों की शमशीरें नहीं

माँगे ताँगे पर गुज़ारा कर रहे हैं दोस्तो
ज़िंदगी करने की अपने पास तदबीरें नहीं

चीख़ की सूरत हयात-ए-नौ का इक पैग़ाम हैं
हम हवा की लौह पर बे-जान तस्वीरें नहीं

सर झुका कर ज़ुल्म सहना भी सरासर ज़ुल्म है
बख़्श वर्ना ज़ुल्म की कुछ और तफ़्सीरें नहीं

  - Bakhsh Layalpuri

Zulm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Zulm Shayari Shayari