samundar ka tamasha kar raha hoon | समुंदर का तमाशा कर रहा हूँ

  - Bakhsh Layalpuri

samundar ka tamasha kar raha hoon
main saahil ban ke pyaasa mar raha hoon

agarche dil mein sahra-e-tapish hai
magar main doobne se dar raha hoon

main apne ghar ki har shay ko jala kar
shabistaanon ko raushan kar raha hoon

wahi laaye mujhe daar-o-rasan par
main jin logon ka paighambar raha hoon

wahi patthar laga hai mere sar par
azal se jis ko sajde kar raha hoon

taraashe shehar main ne bakhsh kya kya
magar khud ta-abad be-ghar raha hoon

समुंदर का तमाशा कर रहा हूँ
मैं साहिल बन के प्यासा मर रहा हूँ

अगरचे दिल में सहरा-ए-तपिश है
मगर मैं डूबने से डर रहा हूँ

मैं अपने घर की हर शय को जला कर
शबिस्तानों को रौशन कर रहा हूँ

वही लाए मुझे दार-ओ-रसन पर
मैं जिन लोगों का पैग़म्बर रहा हूँ

वही पत्थर लगा है मेरे सर पर
अज़ल से जिस को सज्दे कर रहा हूँ

तराशे शहर मैं ने 'बख़्श' क्या क्या
मगर ख़ुद ता-अबद बे-घर रहा हूँ

  - Bakhsh Layalpuri

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhsh Layalpuri

As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri

Similar Writers

our suggestion based on Bakhsh Layalpuri

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari