tishnagi-e-lab pe ham aks-e-aab likkhenge
jin ka ghar nahin koi ghar ke khwaab likhenge
tum ko kya khabar is ki zindagi pe kya beeti
zindagi ke zakhamon par ham kitaab likkhenge
jis hawa ne kaatee hain khaamoshi ki zanjeeren
us hawa ke lehje ko inqilaab likkhenge
jhooth ki parastish mein umr jin ki guzri hai
teergi-e-shab ko vo aftaab likkhenge
sher ki sadaqat par ham yaqeen rakhte hain
maslahat ke chehron ko ba-naqab likkhenge
sooliyon pe jhoolenga bad-nihaad har munsif
munsifi ka jab bhi ham khud nisaab likkhenge
gham nahin jo khwaabon ki loot gai hain taabirein
ham nazar ke taqon mein aur khwaab likkhenge
hirz-e-jaan samjhte hain ham watan ki mitti ko
apne ghar ke khaaron ko ham gulaab likkhenge
is ghazal ke partav mein be-gharon ki baatein hain
be-gharon ke naam is ka intisaab likkhenge
har daleel kaatenge ham daleel-e-raushan se
bakhsh sau sawaalon ka ik jawaab likkhenge
तिश्नगी-ए-लब पे हम अक्स-ए-आब लिक्खेंगे
जिन का घर नहीं कोई घर के ख़्वाब लिखेंगे
तुम को क्या ख़बर इस की ज़िंदगी पे क्या बीती
ज़िंदगी के ज़ख़्मों पर हम किताब लिक्खेंगे
जिस हवा ने काटी हैं ख़ामुशी की ज़ंजीरें
उस हवा के लहजे को इंक़लाब लिक्खेंगे
झूट की परस्तिश में उम्र जिन की गुज़री है
तीरगी-ए-शब को वो आफ़्ताब लिक्खेंगे
शेर की सदाक़त पर हम यक़ीन रखते हैं
मस्लहत के चेहरों को बा-नक़ाब लिक्खेंगे
सूलियों पे झूलेगा बद-निहाद हर मुंसिफ़
मुंसिफ़ी का जब भी हम ख़ुद निसाब लिक्खेंगे
ग़म नहीं जो ख़्वाबों की लुट गई हैं ताबीरें
हम नज़र के ताक़ों में और ख़्वाब लिक्खेंगे
हिर्ज़-ए-जाँ समझते हैं हम वतन की मिट्टी को
अपने घर के ख़ारों को हम गुलाब लिक्खेंगे
इस ग़ज़ल के परतव में बे-घरों की बातें हैं
बे-घरों के नाम इस का इंतिसाब लिक्खेंगे
हर दलील काटेंगे हम दलील-ए-रौशन से
'बख़्श' सौ सवालों का इक जवाब लिक्खेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Fantasy Shayari Shayari