usi ke zulm se main haalat-e-panaah mein tha
har ik nafs mera jis shakhs ki panaah mein tha
chamak raha tha vo khurshid-e-do-jahaan ki tarah
vo haath jo ki garebaan-e-kaj-kulaah mein tha
ufuq ufuq ko payaam-e-sehr diya main ne
mera qayaam agarche shab-e-siyaah mein tha
mahak rahe the nazar mein gulaab sapnon ke
khuli jo aankh to dekha main qatl-gaah mein tha
mere hareef mujhe raund kar nikal na sake
faseel-e-sang ki soorat khada main raah mein tha
jo baat baat pe karta tha inqilaab ki baat
saji saleeb to vo haamiyaan-e-shaah mein tha
adoo ki fauj ne lootaa to kya sitam ye hai
rais'-e-shahr bhi shaamil isee sipaah mein tha
उसी के ज़ुल्म से मैं हालत-ए-पनाह में था
हर इक नफ़स मिरा जिस शख़्स की पनाह में था
चमक रहा था वो ख़ुर्शीद-ए-दो-जहाँ की तरह
वो हाथ जो कि गरेबान-ए-कज-कुलाह में था
उफ़ुक़ उफ़ुक़ को पयाम-ए-सहर दिया मैं ने
मिरा क़याम अगरचे शब-ए-सियाह में था
महक रहे थे नज़र में गुलाब सपनों के
खुली जो आँख तो देखा मैं क़त्ल-गाह में था
मिरे हरीफ़ मुझे रौंद कर निकल न सके
फ़सील-ए-संग की सूरत खड़ा मैं राह में था
जो बात बात पे करता था इंक़लाब की बात
सजी सलीब तो वो हामियान-ए-शाह में था
अदू की फ़ौज ने लूटा तो क्या सितम ये है
'रईस'-ए-शहर भी शामिल इसी सिपाह में था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhsh Layalpuri
our suggestion based on Bakhsh Layalpuri
As you were reading Jalwa Shayari Shayari